Urdu Poetry

↑ Grab this Headline Animator

Wednesday, May 27, 2009

samay samay ki Khalish main tera malaal rahe

samay samay ki Khalish main tera malaal rahe
judaiyoun main bhi youn aalam-e-visaal rahe
anaa ki jang main ham jeet to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe
raah-e junoun main yahi zaad-e-raah hotaa hai
ke justaju bade diwaanagi bahaal rahe
hasien raatain bhi mahakien tumhaari yaadoun se
kayde dinoun mien bhi pal pal teraa Khayaal rahe
tu ek baar zaraa kishtiyaun jalaa to sahi
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhi zawaal rahe

Labels: , , , , , , , , , , , , , ,

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Maira dard naghma-e-be-sada
Mairi zaat zarra-e-be-nishaan
Mairey dard ko jo zubaan miley
Mujhey apna naam-o-nishaan miley

August 12, 2009 11:39 AM  

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

Links to this post:

Create a Link

<< Home